Aadhaar Card

Aadhaar number ek 12 digits ka random number hai jo ki bharat ke citizens ko UIDAI ki saksham authority dvaara proper verification ke baad prdan kiya jaata hai. Kisi bhi age aur gender ka koi bhi vyakti jo bharat ka rahne vala hai, apni khud ki ichchha se kabhi bhi Aadhaar number prapt karne ke liye aavedan kar sakta hai. Aadhaar ke liye aavedan krne vaale vyakti ko apni 2 prkar ki information deni padti hai -- Demographic aur Biometric. Iske liye aavedan krne ka koi charge nahi liya jaata, matlab Aadhaar number prapt krne ki puri process bilkul FREE hai.

Demographic Information Name, Date of Birth (verified) or Age (declared), Gender, Address, Mobile Number (optional) and Email ID (optional)
Biometric Information 10 Fingerprints, 2 Iris (aankh ki putli) Scans, and Face ka Photograph
Aadhaar number ko bahut mamuli se kharche me online hi verify bhi kar sakte hain. Yah ek bahut hi unique aur powerful tool hai jiski sahayata se farji aur nakli pahchan vaalo ko pahchanne me madad milti hai. Vibhinn sarkari kalyan yojnaon me pardarshita ke liye aadhaar number ko prathimk pahchan ke roop me kaam me liyaa jaa raha hai taki in sarkaari yojanao ka fayda inke real hakdaro ko hi mile. Yah world me apne tarike ka ekmatra system hai jisme itni adhik sankhya me public ko free of cost online sarkari pahchan prdaan ki ja rahi hai. Isse sarkari yojanaon ke laabharthiyon ko fayda pahunchane me bahut adhik aasaani ho gayi hai.

Aadhaar number ek sarkari pahchan patra (proof of identity) hai parantu yah aadhaar number dharak vyakti ko kisi tarah ki nagrikta ya nivaas ka adhikar nahi deta hai.

1 Aadhaar Card Ke Liye Apply Karne Ki Process
2 Aadhaar Status Check Karne Ki Process
3 Acknowledgement Details Kho Jane Par Aadhaar Status Check Karna
4 e-Aadhaar Card Download Karne Ki Process
5 eAadhaar PDF Ke Password Hatane Ki Process
6 PAN Card Ko Aadhaar Se Link Karne Ki Process
7 More to come..

No comments