PAN Card

PAN card (Permanent Account Number) Indian government ke Income tax department dvara diya jane vala ek important pahchan sankhya hai. Ise paane ke liye Indians ko Income tax department me apply karna padega jo ki Central Board of Direct taxes dvara regulate kiya jata hai . kuchh years pahle PAN card ko telephone connection aur aisi hi doosri jaruri services prapt karne ke kaam me liya jaata tha. lekin in dino yah bank account khulvane aur salary purposes ke liye kaam aata hai.


Social Security Number ke saath samanta :
United States mein, legal roop se rahne vale nivasiyon aur nagrikon ko ek social security number diya jaata hai. India mein PAN card thik usi prkar ke similar features ke liye kaam me aane vala bataya jata hai. PAN card ka model aane se pahle, India me bahut se log aise the jo sarkar ko Income taxes nahi chukate the. isse india me loot ki situation ban gayi. is situation ko tackle karne ke liye, tax chori ko track karne ke liye ek unique pahchan sankhya ke roop me PAN ke effective idea ko layi.

PAN card ke features :
· PAN Card ke liye apply karne ki process bahut hi aasan hai.
· PAN Card ka sabse important feature iski structure hai. yah alphanumeric characters se mil kar bana hota hai jaha first 5 digits alphabets hote hain. next 4 digits numbers hote hain, aur fir se last digit ek alphabet hota hai.
· yadi aap apna resident address inida ke ek part se dusre part me change karte hain tab bhi PAN Card number change nahi honge. Isliye, yadi aap India mein hain aur aapne ek baar PAN Card banva liya to aapko ise baar baar change karne ki jarurat nahi padegi.
· PAN Number se ise rakhne valo ke income taxes ki details automatically pata chal jaati hai.
· PAN card ka authentication iski number structure se karna bahut hi aasaan hai. kyun ki, yadi PAN number ka pattern match nahi hota hai to vo PAN Card invalid hota hai.
PAN card – Bharat me ek anivarya pahchan sankhya :
haal hi me bharat sarkar ne ye anivarya (mandatory) kar diya hai ki sabhi ko PAN Card rakhna hi hoga, chahe aap ek earning candidate ho ya nahi, fir bhi aapko PAN card rakhna hi chahiye. Property Dealing aur stocks ki trading me bhi aapko iski jarurat padti hai. aapko apne taxes pay karne aur tax department se consult karne ke liye iski jarurat nishchit roop se padti hai. pahle PAN card ko keval financial transactions aur issues ke liye India me kaam me liya jata tha. parantu ab PAN card visa ke aavedan jaisi dusri activities me bhi mandatory kar diya gaya hai.

PAN card ki sabse badi power ye hai ki iski help se tax officials aapki tax details ko aasani se track kar sakte hain. yadi aap tax chori karne ke liye apni kuch income chhupa rahe ho to yah bhi PAN number se tax officials dvara jana ja sakta hai.

yadi aap ek NRI ho aur PAN card banvana chahte ho to aap form 49A fill karke ise tax authorities ko submit kar sakte ho. aap iske liye private agents ki bhi help le sakte ho. chahe aap normal PAN card ke liye ya fir NRI PAN card ke liye apply kare, jab tak ye aap tak nahi pahunchta hai aap apne PAN Card ko track kar sakte hain, vo bhi bahut aasani se.

1 PAN Card Ke Liye Apply Karne Ki Process
2 PAN Card Aavedan Ke Liye Aavashyak Documents
3 PAN Card Status Online Check Karne Ki Process
4 PAN Card Me Correction Karne Ki Process
5 Permanent Account Number (PAN) Verify Karne Ki Process
6 PAN Card Ko Aadhaar Se Link Karne Ki Process
7 More to come..

No comments